Smartphone Kya Hai? Padhiye Detail Me (in Hindi)
Is post me smartphone ke bare me hindi jankari hai, jisme iski history aur future development ke bare me bhi janege aur smartphone kya hai isko thoda detail me padhege.
smartphone
Smartphone ek aisa advance operating system mobile phone hai, jisme personal computer ke operating system jaise features ke sath hi dusre useful mobile phone ke features bhi hote hain. Inki sabse badi khubi ye hai ki inhe handle karna kaafi aasan hota hain. Toh is post me aap smartphone ko puri tarah samajh lenge.
Operating System Kya Hai in Hindi Me Puri Jankari
Smartphone
Smartphones jyadatar pocket size ke hi hote hai, jisme ek regular cellphone jaise sabhi features hote hain. Like- call karna, call receive karna, text message create krna, message receive karna etc.
Isi ke sath Smartphone ko ek Personal Assistant bhi keh sakte hain. Kyunki isme calendar, media player, video games, GPS navigation, digital camera aur video camera jaise bhi kai features hote hain.
Linux Operating System Kya Hai in Hindi Puri Janakari
Most of smartphones ke andar hum koi bhi software aur apps access badi hi aasani se kar sakte hain. Aam taur par isme ek bhot acchi display ke sath ek friendly graphical user interface dekhne ko milta hain. Aur ye usually screen touch hote hai, jo ki user ko virtual keyboard par type karne ka feel dete hain.
About Smartphone History
1999 me Japanese firm NTT DoCoMo ne pehla Smartphone release kiya tha. Smartphone 21st century me bhot hi jyada popular ho chuka hain.
2012 ke baad smartphones toh aur bhi jyada popular hone lage. Kyunki tab unme mobile broadband 4G LTE, mobile sensors aur mobile payment jaise features aane lage.
2012 me 6-9 mahine me puri duniya me 1billion (10 Arab INR) smartphones use hone lage. Usi tarah USA me 2013 me 65% log smartphones ko apnane lage. Toh vahi latest 2016 me USA me 79% ke pas smartphones hain.
Future Possible Developments
2013 me aisa maana gaya tha ki foldable (Jo ki Easiliy fold ho sake) OLED smartphones banane me abhi bhot time baaki hai, kyunki unki price kuch fix nahi thi. Lekin in par work bhi usi time se shuru hogya.
Vahi, 2013 me in type ki screens ko banane me kaafi paisa laga aur isme bhot money loss bhi hua. Vahi in foldable screen ko banane ke sath hi producers ko ye bhi pareshani aa rahi thi ki ab inki foldable batteries kaise banayi jaye?
Fir 2014 ke starting me hi ye report release hui ki Future Smartphones me humesha ki tarah solid batteries na daal kar, in foldable batteries ka use hoga. Aur inka charging source bhi alag hoga. Like, ye apni energy kisi radio, television, cellular ya kisi Wi-Fi signal se prapt karenge.
Related Posts:
|
0 comments:
Post a Comment