👇 Search Here Everything & Get Smart Results instantly

 Android Google Play Store Me Account Kaise Banaye in Hindi


Yaha janege android phone me play store me account kaise creat karte hai, jise aap yah bhi kah sakte hai ki mobile me Gmail ya Google account kaise banate hai jise aap Play store ke alawa Gmail, drive, photos kahi bhi use me le sakte hai.


To chaliye shuru karte hai.



Android Google Play Store Me Account Kaise Banaye in Hindi




 

Jab aap new android phone lete hai tab Google play store se koi bhi app & games tab tak download nahi kar sakte hai jab tak play store me login kar dete.


Agar apke pas me pahle se bana Gmail account hai to simply use hi sign in karke apna play store me koi bhi app ya games download kar sakte hai.





Android Google Play Store Me Account Kaise Banaye in Hindi full tutorial



 

Par agar apka account nahi hai to chaliye me simply step by step batata hu android me Google play store ka account kaise banate hai in Hindi.


Play Store Account Kaise Banaye in Hindi

Step 1. Sabse pahl Google play store ko open kare, open hote hi Or create a new account par click kare.




2. Phir apna first and last name likhe, jo play store account me dalna hai.




 

3. Phir apko Gmail address dalna hai, Gmail address kuch is tarah se hota hai, abc@gmail.com


4. Gmail address har account ka alag hota hai yahi account ki identity hoti hai, so apko aisa address dalna hoga jo ab tak kisi aur ne register nahi kiya ho.




5. Ab apko apne account ke password set karne hoge, yah password thik se set kare kyonki jab aap apna android phone ko formate karoge wapas me new account banane ke bajaye yahi account use me le sakte hai jaha apko Gmail address aur password ki jarurat padegi.


Waise jis mobile number se account create kar rahe ho usse forget password bhi kar saktea hai.


6. To ab apko first box m password type karna hai aur second me confirm ke liye repeat same password type karna hai.




7. Agar aap Indian hai to country In select karke apne mobile number type kare. Mobile no. bina dale hi Skip par click karke aage badh sakte hai lekin jab password bhul jate hai tab mobile number se forget karke wapas laya ja sakta hai.




8. Phir terms and condition ka page ayaega jise I AGREE kar de.


9. Aur phir ek new page aeyega backup and setting ka, jisme NEXT kare de.




10. Aur phir Payment info me No thanks karke Continue kar de.



Aur phir sidhaa apka play store open ho jayega ab aap koi bhi app ya games install kar sakte hai, play store ke account banane ke bad me aap yah account aap Gmail, Photos, drives etc. me bhi use me le sakte hai, ise Mobile me Gmail account banana hi kahte hai.


Related Posts:

Related Posts:

0 comments:

Post a Comment

 
Top