👇 Search Here Everything & Get Smart Results instantly

 QR Code Kya Hota Hai – What is Quick Response Code in Hindi


 

QR code ek machine readable (Jise machine padh sake) barcode hai, jiske andar item se related detail hidden rahti hai aur wo detail alphabet, numbers etc. mode me dekhne ke liye QR code ko convert karna hota hai.


QR code kafi popular system ban gaya hai, kyonki QR code ke readability kafi fast hai aur storage capacity kafi achi hai, jo jyada detail kam code me generate kar leta hai.


QR code dikhne me black and white hote hai, jisme chote chote black and white box hote hai, har different QR code ke according in sab chote-chote box ka map alag hota hai.



QR Code Kya Hota Hai – What is Quick Response Code in Hindi



 

QR code kaise kaam karta hai?

QR code ko human padh nahi sakta, yah machine code hai, ise mobile ke camera se scan kiya jata hai. Mobile se scan karne ke bad us QR code me jo bhi information hogi wo mobile me human padh sake us language me show ho jaegi.


qrcode



 

Agar apko kisi QR code padhna hai tab play store se ek QR reader yani jo QR code ko padh sake wo download karni hogi.


QR code ka use

Iska use kafi badi companies bhi karti hai jaise agar aap ko computer me WhatsApp chalana hai tab ek step me apko mobile se QR code ko scan karna hota hai.


Aapne dekha hoga QR code aadhar card par bhi likha hota hai, us QR code me apki detail likhi hoti hai aur agar apko us detail ko padhna hai to application se us QR code ko readable code me badalna hoga.


QR code system 1994 me Denso Wave ne invent kiya tha, is system ko banane ke purpose manufacture ke wakt vehicle ko track karne ke liye kiya gaya tha.


Lekin aaj QR code se kai companies advertise karti hai, companies apni brand ki website promote karne ke liye QR code ka banner road-side me lagate hai taki koi bhi person apne phone ke camera se QR code ko scan karke bine website ka name dale website me enter kar sakta hai.



 

Iska use personal information ko store rakhne ke liye bhi kiya jata hai.


Agar apko QR code ka ek use dekhna hai to computer par WhatsApp chalane wali post ko padhe jiska link niche diya hai.

Related Posts:

0 comments:

Post a Comment

 
Top