👇 Search Here Everything & Get Smart Results instantly

 Google se Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye? in Hindi (Step by Step Guide)


Ji haa..!! Aap ghar baithe hi Google company ke sath kaam karke ghar baithe paise kama sakte hai bina kisi investment aur bina kisi jyada knowledge ki jarurat ke.


Google se Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye in Hindi (Step by Step Guide)





Google ke pas me duniya ka sabse bada online advertisement platform hai jiska name hai Google Adsense. Aur is post me ham Google advertise ke bare me sab kuch janege ki yah kaise payment karta hai aur kis tarah se aapko benefits hota hai aur iske liye apko kya karna hota hai.



Google Adsense ke Bare me

Google Adsense ek CPC advertise network hai, jisme agar apke paas me koi website ya blog hai aur us par kaafi users bhi aate hai to Google Adsense ke through kai companies jo advertise karwana chahti hai ke banner apne site&blog par laga kar.


Yani Adsense se judne se pahle apke pas me website ya blog hona chahiye iske bare me bhi ham aage bat karege lekin pahle achhi tarah se Adsense ko samjhege.



Filhal abhi yah man kar chalte hai ki apke pas me ek website/blog hai jis par aap science topics ke bare me likhte hai aur har roj apki website par 1,000 readers (padhne wale) ate hai/


Is condition me apko pahle Google adsense network me Gmail account ka use karke account create karna hoga jo bahut hi simple process hai.


Uske bad jab apka account ban kar Google ki taraf se apki site ka verification ho jata hai tab Google apko kuch code deta hai jisko apko apne site par lagana hota hai.


Jab wo Adsense code lag jate hai tab automatically Google apki site par apne hisab se alag-alag companies ki advertise show karta jaeaga jisme apko kewal code hi lagana tha iske alawa ab apka kaam kuch bhi nahi hota hai.


Bas kewal apko Adsense ke sath me Bank account attach karna hota hai aur phir apko har mahine payment hoti rahti hai.




Kya Adsense Life Secure hai?

Puri duniya me Google Adsense ke sath me 2 millions (20 lakh) log jude hue hai. Aur is me se duniya ke sabse jyada Adsense se kamane wale ki income $500,000 – $800,000 per month hai (33299475.00 se 53279160.00 Indian Rupees) jinka name hai Michael Arrington.


Agar apko is bat par jara bhi shak ho to Google “Top adsense earners” search karme dekh sakte hai ya Michael Arrington ke bare me Wikipedia par padh kar jaan sakte hai.


Uske baad ek aur plus point hai ki yah network Google company ka hai, Google company ke android, search engine, play store, Pixel phone, YouTube jaise kai popular product me se Adsesne bi ek popular product hai.


To Google Adsense Ke Business Kaise Start Kare?

Google adsense ko start karne se pahle niche di gai chije apke paas me honi chahiye:


  • Site/Blog
  • Writing skill
  • Kisi ek topic par achha knowledge
  • Laptop/Computer and Internet connection
  • Free time




Blog



Agar apke pas me kisi ek topic par achha knowledge aur writing skill hogi tabhi achha sa blog shuru kar paoge. Jaruri bhi nahi hai ki apke pas me bahut knowledge hona chahiye. Apko kisi bhi chij m interest hai kewal uske bare me internet par padhte jao aur dheere-dheere sikhte sikhte use blog par sikhate jao.


Aisa karne se apne aap apke pas me writing skill bhi hogi aur apko knowledge bhi hota jayega.


To sabse pahle apko ek blog banana aana chahiye.



To jab apke pas me ek blog ho jata hai, jis par apko interest hai to ab wakt aata hai apne pasand ke bare me ho sake utna internet se knowledge lena aur use good manners me article ke through blog par publish karna.


Dheere-dheere jab aap logo ko batate jaoge apne blog ke bare me aur log bhi apne dosto ko kahte jaege to apka blog dheere-dheere famous hone lagega aur har blog ka sabse jayda users aata hai Google search engine se.


Google search engine ke traffic tabhi aega jab apka blog achha hoga


Yaani ab tak apke pas me 2 chij ho gai hai pahli ek achha blog aur dusri us par achhe padhne wale aana.




Google Adsense Par Account



To ab aap Google Adsense paar jaakar us par account create karke apne blog ke sath me jod sakte hai, waha par blog banana bhi kaafi simple hai.


Chaliye me short me step bata deta hoon.


  • Sabse pahle apko adsense.google.com parj jana hoga aur sign up par click karke apne Google account ko login karna hoga.

  • Uske bad me apni website submit karke next karna hoga phir apko apni personal detial fill karke application submit karni hogi.

  • Uske bad 1-2 days me apke pas me verification mail aaega, tab apko ek code dia jaega use apne blog/site par add karna hai and done.
  • Adsense ke sath me judne ka process kafi hi simple hai, jab aap blog ko shuru karoge aur use Adsense ke layak banaoge, users ko laane ki koshish karege tab tk hi Adsense ke bare me internet par padh kar kafi sikh jaoge.


Google Advertise Ke Bare Me Deep Me detail

Kya aapne kabhi koi website ko kholi tab advertise dekhi? kai banners hote hai to kai links hote hai.


Almost websites badi se badi bhi Adsense hi use karti hai. To wo sab Adsense ke advertise hai.


Aur iske alawa Google adsense ke advertise kafi attractive bhi hote hai, jab aap advertise apne blog par lagate hai tab apki website buri bhi nahi lagegi par ek bat ka dhyan rahe apki website par jyada bhi advertise na lageye apke users par bad effect dalegi kyonki TV, newspaper ho ya website/blog jayada advertise kisi bhi par achhi nahi lagti hai.




Blog Ke Alawa Bhi Aur Google Adsense Se Se Kamane Wale Tarike

youtube-se-paise-kamaye


Agar apko blog comfortable nahi lagta hai phir bhi aap ek aur tarike se Google Adsense se paise kama sakte hai. Wo hai YouTube. Jo Google kaa hi product hai. YouTube ko Adsense se connect karke kama sakte hai.



Related Posts:

Related Posts:

0 comments:

Post a Comment

 
Top