Mobile Phone se Paise Kaise Kamaye (Top 5 Tarike in Hindi)
Mobile Phone se Paise Kaise Kamaye (Top 5 Tarike in Hindi)
#1. WhatsApp Se Paise Kamaye
WhatsApp world ki sabse jayda use hone wali chatting smartphone application hai, agar aap isse paise kamana chaho to kafi aaram se kama sakte hai.
Lekin usme bhi conditions hai ki apki popularity honi jaruri hai, jitne jyada contacts apke pas me hoge utne hi jyada chances apke kamane ke hoge.
WhatsApp par agar apke pas me jyada contact nahi hai to aap kuch wakt kewal WhatsApp contact collect karne me de sakte hai then agar apke pas me thousands me numbers collect hote hai tab kafi tariko se promoting karke apne mobile se paise kama sakte hai jaise kisi firm ki advertise karke kuch commission earn kar liya etc.
Iske bare me detail me dusri post me samjhaya hai jiska link niche diya ahi.
WhatsApp Se Paise Kaise Kamaye in Hindi (8 Best Tarike)
#2 Application Install Karke
Android ke liye aisi kai application hai jo jaha se agar aap offer ki gai application download karte hai to apko har application ke badle ya phir har task ke badle me apko paise milte hai jaise Ladoo, Champcash etc.
Yah mobile se paise kamane me bilkul easy aur fast tarika hai, isme apko pure step me kahi bhi computer/laptop ki jarurat nahi hogi.
Niche diye gaye kuch application ke names hai jo apko per app install par paise dete hai, jinhe playstore me search karke install kar sakte hai. In application me account bana kar step shuru karna kafi aasan hai. Ye application apko jo bhi task karne ko kahti hai aur wo aap karte hai tab har task ke badle me kuch amount me (Har task ka alag amount hota hai) paise milte hai wo paise sab us application me collect hote hai use kabhi hi nikal sakte hai.
- Mcent
- Earn Talktime
- FreeB
- TaskBucks
- Ladooo
- App Trials
#3 Blogging
blog-kya-hai
Yah thoda difficult ho sakta hai, waise aaj ke wakt me mobile se hi blogging possible hoti jaa rahia hai. Yani aisi site jaha par apna knowledge share karke logo ko attract karte ho then us par adsense jaisi companies ki ads karke earn karte ho.
Lekin ek bar apni site ko confirgue karne me computer/laptop ki jarurat padegi hi, then roj ke article likh kar publish karna aur use promote karna and earning and traffic dekhna sab smartphone ki application se ho jata hai.
Blogging ko detail me padhne ke liye apko dusri posts bhi padhni hogi jisa link niche diya hai.
Blog Kya Hota Hai | What is Blog Meaning in Hindi Me jankari
Blog Se Paise Kaise Kamaye? in Hindi [With Income Report]
#4 YouTube
youtube-se-paise-kamaye
YouTube par video daal kar us par views aate hai tab advertise laga kar kafi log achhe paise kama rahe hai, lekin yah sab ab Mobile me bhi possible hai.
Aaj ke wakt me income report, video upload, views report sabki application available hai. Agar aap apna YouTube channel shuru karke paisa kamana chahte hai tab apke pas me computer na ho tab bhi kar sakte hai lekin kuch jagah par apko Computer ki jarurat padh hi jaati hai. Jaise agar apko professional way me video edit karni hai then uske liye computer/laptop ki jarurat padhegi.
Waise agar apko YouTube par paise kamane ke bare me detail me padhna hai to uske liye maine alag posts likhi hai jiska link niche diya hai.
(4 Steps) YouTube Se Paise Kaise Kamaye | Make Money Hindi
YouTube Par Video Upload Kaise Kare: Mobile+PC for Both in Hindi
#5 Facebook
facebook-paise-kamaye
Facebook world’s popula social network hai to usi ke sath me world ki sabse badi social promoting site bhi. Kai badi-badi companies apne business ko Facebook par promote karte hai pahle ke mukable aaj ke wakt me Facebook ko business promote karne ke maksad se istemaal karte hai.
Facebook par agar apka koi Fan page hai aur par achhe likes hai then us par kisi blog/site ke content ke links share karke mobile se paise kama sakte hai.
Lekin iske liye apke paas me jyada likes ks page hona chahiye, agar aap apne page ko shuru me paiso se promote karke likes laate hai to kafi achha idea hai phir apni kamai dusri kai website ko clicks dekar kama sakte hai.
Waise fix to nahi hai lekin agar aap apne FB page se kisi blog ke post par 1,000 clicks dete hai tab 100-200 rupees kama sakte hai, aur internet par kai aise network hai jah par aap as a publisher join karke unke dvara diye gaye links ko apne FB page par share karke paise kama sakte hai, ye paise sab unki network par apka bana hua account me collect hoge then use apne bank account me transfer karwa sakte hai.
Related Posts:
|
0 comments:
Post a Comment