👇 Search Here Everything & Get Smart Results instantly

 Online Internet Par Business Kaise Start (Shuru) Kare? Hindi Me Jankari


Yaha janege ki kitne tariko se online business ko successfully start (shuru) kar sakte hai. Apne online business se kis-kis tarike se profit kama sakte hai, how to start it in Hindi.


Online Internet Par Business Kaise Start (Shuru) Kare Hindi Me Jankari



Koi bhi business shuru karne se pahle business ka sense hona bahut jaruri hai, phir chahe wo online ho ya offline.


Apko pata hona chahiye ki jo aap business start kar rahe hai usme kitna scope hai, kitna competition hai, apke competitors koun hai, aap kis tarah se logo ki problem solve kar rahe hai, log apke hi paas kyon ayege etc.


Online business aur offline business me koi jyada fark bhi nahi hai, agar online business shuru karte hai tab usme bhi competition, scope, clients, advertisement, product, communication etc. hote hai.



Online Business Kaise Kare?

Abhi me apko 2 tarike batane jaa rha hoon jo internet par most popular tarike hai. In dono hi tariko se aap apna professional business set kar sakte hai.


YouTube Par Online Business:

Online business me yah sabse aasaan tarika hai, almost nontechnical is business ko karte hai kyonki isme jyada sikhna nahi hota.


Agar apki communication & speaking skill achi hai tab yah apke liye bahut aasaan hai. YouTube par already bahut log apne talent ko dikha kar paisa kama rahe hai.


Online classes le sakte hai. Jab apke videos par achhe views aane lagte hai tab apki Google comapny se paymeny hoti jiska ek process hoti hai jo bahut aasaan hai.


YouTube par kuch is tarah ke business start kar sakte hai:



  • Apni free ki kuch vidoes dekar phir kuch quality information wali videos sale kar skate hai.
  • Videos par company ki advertise laga kar earning kar sakte hai jo abhi tak ka most popular way hai.
  • Videos me particular company ke product ke views dekar commission earn kar sakte hai.




Blog Par Online Business:

Yah YouTube jitna aasaan nahi hai, iske liye apko blog bhi manage karna hota hai. Lekin muskil to yah bhi nahi hai. Because Google blog ke liye bhi ek tool provide karta hai uska name hai Blogger.


Blog par sab chij aa jati hai.


Isme bhi YouTube ki tarah ki company ki advertise show karke earning hoti hai aur iske sath me Blog par YouTube se jyada paise kamane ki opportunities hai.


YouTube ki tarah blog par bhi online teaching kar sakte hai, fark kewal yah rahega ki blog par texts hoge.


Blog par kuch is tarah se business possible hai:


  • Apne knowledge ke base par article likh kar publish kare jise log padhne aye tab companies ki advertise show kare, ya koi company amazon and flipkart ka product bech kar commission earn kare etc.
  • Apni khud ki eBook in PDF format likh kar apne blog par sale kare, ya phir dusre authors ki book sale karke affiliate business ke through commission earn kare.
  • Companies ke products par achhe views likh kar apne blog par dale aur har view ke badle kuch amount earn kare.
  • Waise iske alawa photo bechna, purane saman ko bechna aadi sab blog par kar skate hai.


Dono me se ko bhi type ka business sahi hai, agar apki writing skill achi hai tab blog kare aur speaking and presentation skill achi hai to YouTube channel kare agar dono hi achi hai to yah aur bhi achhi opportunity hai aap apni brand dono jagah kar sakte hai.

1 comments:

 
Top